Tu Ghani AZ har do alam man faqir?

Answer:
Tu ghani AZ har do a'alam mann faqeer
Roz-e-mahshar 'uzrahai-e-man pazeer
Gartumi beeni hisabam naguzeer
Az nigah-e-Mustafa pinha bageer (sallallahu alaihi WA sallam)







Translation and explanation in Urdu:







Ay Allah tu dono jahanon ka ghani hai or main aik aajiz maangnay waala faqeer houn. Ay Allah qayamat ke din mujhey maaf farmana or mujh se hisaab na laina, laykin agar waqai mera hisab WA kitab Lena hi hai to aik meharbani farmana, mera hisab Sakar-e-do A'alam Hazrath Muhammad Mustafa (sallallahu alaihi wo sallam) ki nigahon ke saamne na Lena. Main gunahgar, pur taqseer un ki nigahon ka saamna nahin kar sakun ga!
___________________________________________________________________
Is-faqeer ke liye dua karna,
Faqt
First answer by Jameelmt. Last edit by Jameelmt. Contributor trust: 0 [recommend contributor recommended]. Question popularity: 1 [recommend question].